kyun andheron ka musafir hai muqaddar apna
koi suraj to nikale ye samundar apna
zulmat-e-shab mein jalae hue ashkon ke charagh
ishq ki rah mein KHud ishq hai rahbar apna
kya lagaega koi meri ana ki qimat
donon aalam se giran-tar hai ye jauhar apna
koi chehra to kahin ho tere chehre ki tarah
shahr-e-KHuban mein nahin ek bhi manzar apna
dil mein raushan hai tera dard zamane se nihan
kya sadaf ne bhi dikhaya kabhi gauhar apna
us ke lab-KHand mein Dhal jae KHizan ka mausam
us ko gulnar karen zaKHm dikha kar apna
anjuman gosh-bar-awaz hai 'rifat' dekhen
kis ke sine mein utarta hai ye nashtar apna
Ghazal
Kyun andheron ka musafir hai muqaddar apna
Rifat-ul-Qasmi