kyun ambar ki pahnai mein chup ki rah TaTolen
apni zat ki bunat udheDen sans mein KHak samo len
dhul mein lipTi is KHwahish ki sari parten kholen
dharti jangal sahra parbat panw bich piro len
apne KHwab ke hathon mein takle ki nok chubho len
kisi mahal ke sannaTe mein ek sadi tak so len
ek sada ke lams mein waqt ke chaaron khonT bhigo len
gunj mein lipTe yaad ke kohna raston par phir ho len
ek manzar mein ek dhundle se aks mein chhup ke ro len
hum kis KHwab mein aankhen munden kis mein aankhen kholen
Ghazal
Kyun ambar ki pahnai mein chup ki rah TaTolen
Ambarin Salahuddin