اردو हिंदी
Kyun ai gham-e-firaq ye kya baat ho gai | Shaahi Shayari
kyun ai gham-e-firaq ye kya baat ho gai

Ghazal

Kyun ai gham-e-firaq ye kya baat ho gai

Zehra Nigaah

;

kyun ai gham-e-firaq ye kya baat ho gai
hum intizar-e-subh mein the raat ho gai

bahke hue bhaTakte hue karwan ki KHair
rahbar se rahzan ki mulaqat ho gai

diwangi ki KHair na mangen to kya karen
diwangi hi raaz-e-inayat ho gai

sinon mein soz-o-saz-e-mohabbat nahin raha
duniya rahin-e-gardish-e-haalat ho gai

lo Dubton ne dekh liya naKHuda ko aaj
taqrib kuchh to bahr-e-mulaqat ho gai