kyun aaine mein dekha tu ne jamal apna
dekha to KHair dekha par dil sambhaal apna
us ka ho jab tasawwur kab ho KHayal apna
kaisi musibat apni kaisa KHayal apna
khoya gham-e-rifaqat dekho kamal apna
bahka diya hai sab ko dikhla ke haal apna
bin dekhe teri surat jina wabaal apna
bin aae tere zalim marna muhaal apna
KHirman to dekh lete bijli bala se girti
hota tha khet 'arif' yun paemal apna
Ghazal
Kyun aaine mein dekha tu ne jamal apna
Zain-ul-Abideen Khan Arif