kya zaruri hai koi be-sabab aazar bhi ho
sang apne liye shishe ka talabgar bhi ho
dilbari husn ka shewa hai magar kya kije
ab ye lazim to nahin husn wafadar bhi ho
zaKHm-e-jaan waqt ke kanTon se bhi sil sakta hai
kya zaruri hai ki resham ka koi tar bhi ho
fasla rakhiye dilon mein magar itna bhi nahin
darmiyan jaise koi aahani diwar bhi ho
do kinaron ki tarah sath hi chalte rahiye
ab zaruri to nahin koi sarokar bhi ho
koi is dard ke rishte ko nibhae kyun kar
chaarasazi jo kare wo koi gham-KHwar bhi ho
shisha-e-jaan ko bachane ki ye koshish 'tanwir'
shayad is shahr-e-sitam ke liye bekar bhi ho

Ghazal
Kya zaruri hai koi be-sabab aazar bhi ho
Tanveer Ahmad Alvi