اردو हिंदी
Kya zaruri hai ab ye batana mera | Shaahi Shayari
kya zaruri hai ab ye batana mera

Ghazal

Kya zaruri hai ab ye batana mera

Mohsin Bhopali

;

kya zaruri hai ab ye batana mera
TuTti shaKH par tha Thikana mera

gham nahin ab mili hain jo tanhaiyan
anjuman anjuman tha fasana mera

jo bhi aaya hadaf par wo kab bach saka
cukta hi nahin tha nishana mera

ek zamana kabhi tha mera ham-nawa
tum ne dekha kahan wo zamana mera

arz-e-bhopal se tha talluq kabhi
ab to sab kuchh hai ye laDkana mera

na-tawani pe meri jo hain KHanda-zan
in ko album purana dikhana mera

mere jaane se behtar hai 'mohsin' kabhi
bazm-e-sher-o-suKHan mein na jaana mera