اردو हिंदी
Kya zamana tha ki hum rose mila karte the | Shaahi Shayari
kya zamana tha ki hum rose mila karte the

Ghazal

Kya zamana tha ki hum rose mila karte the

Nasir Kazmi

;

kya zamana tha ki hum rose mila karte the
raat-bhar chand ke hamrah phira karte the

jahan tanhaiyan sar phoD ke so jati hain
in makanon mein ajab log raha karte the

kar diya aaj zamane ne unhen bhi majbur
kabhi ye log mere dukh ki dawa karte the

dekh kar jo hamein chup-chap guzar jata hai
kabhi us shaKHs ko hum pyar kiya karte the

ittifaqat-e-zamana bhi ajab hain nasir
aaj wo dekh rahe hain jo suna karte the