kya ye bhi main batla dun tu kaun hai main kya hun
tu jaan-e-tamasha hai main mahw-e-tamasha hun
tu bais-e-hasti hai main hasil-e-hasti hun
tu KHaliq-e-ulfat hai aur main tera banda hun
jab tak na mila tha tu ai fitna-e-do-alam
jab dard se ghafil tha ab dard ki duniya hun
kuchh farq nahin tujh mein aur mujh mein koi lekin
tu aur kisi ka hai bedard main tera hun
muddat hui kho baiTha sarmaya-e-taskin main
ab to teri furqat mein din raat taDapta hun
arman nahin koi go dil mein mere lekin
allah ri majburi majbur-e-tamanna hun
'bahzad'-e-hazin mujh par ek kaif sa tari hai
ab ye mera aalam hai hansta hun na rota hun
Ghazal
Kya ye bhi main batla dun tu kaun hai main kya hun
Behzad Lakhnavi