اردو हिंदी
Kya yaqin aur kya guman chup rah | Shaahi Shayari
kya yaqin aur kya guman chup rah

Ghazal

Kya yaqin aur kya guman chup rah

Jaun Eliya

;

kya yaqin aur kya guman chup rah
sham ka waqt hai miyan chup rah

ho gaya qissa-e-wajud tamam
hai ab aaghaz-e-dastan chup rah

main to pahle hi ja chuka hun kahin
tu bhi jaanan nahin yahan chup rah

tu ab aaya hai haal mein apne
jab zamin hai na aasman chup rah

tu jahan tha jahan jahan tha kabhi
tu bhi ab to nahin wahan chup rah

zikr chheDa KHuda ka phir tu ne
yan hai insan bhi raegan chup rah

sara sauda nikal de sar se
ab nahin koi aastan chup rah

ahrman ho KHuda ho ya aadam
ho chuka sab ka imtihan chup rah

darmiyani hi ab sabhi kuchh hai
tu nahin apne darmiyan chup rah

ab koi baat teri baat nahin
nahin teri teri zaban chup rah

hai yahan zikr-e-haal-e-maujudan
tu hai ab az-guzishtagan chup rah

hijr ki jaan-kani tamam hui
dil hua 'jaun' be-aman chup rah