kya us ka gila yurish-e-tohmat bahut hai
zinda hain jo hum log yahi baat bahut hai
jo tum ne bujha Dale diye un ko jala lo
ai subh ke matawalo abhi raat bahut hai
is waste gulchin ko hui mujh se adawat
tazin-e-gulistan mein mera hath bahut hai
un firqa-paraston ke dilon mein hai kudurat
aur wird-e-zaban lafz-e-musawat bahut hai
un amn-pasandon ke parakhne ko kasauTi
is daur ki tafsil-e-fasadat bahut hai
ye beTon ke sar bhai ka KHun bahnon ki chiKHen
ibrat ho agar hum ko ye saughat bahut hai
behis ho jo insan tu kahe jaiye kuchh bhi
ghairat ho agar dil mein to ek baat bahut hai
sine se tere gham ko lagae to rakhenge
na-saz magar gardish-e-haalat bahut hai
han baiTho gada ban ke baras jaegi daulat
in puKHta mazaron mein karamat bahut hai
Ghazal
Kya us ka gila yurish-e-tohmat bahut hai
Qazi Ehtisham Bachhrauni