kya tum ne bhi hai kal ratjaga kiya
tumhein bhi ishq hum se ho gaya kya
mera tu muddaa tu masala thi
bichhata gar tujhe to oDhta kya
yahan jis ko bhi dekho zoam mein hai
hamare shahr ko aaKHir hua kya
mere atraf mein teri sada thi
tujhe dair-o-haram mein DhunDhta kya
hai tere zehn mein tark-e-talluq
tujhe phir hum sa koi mil gaya kya
bhaTakna jab meri qismat mein shamil
pata sahraon ka phir puchhna kya
main us ke sath uDta ja raha tha
mere pichhe thi wo bahki hawa kya
zamane par bharosa kar liya hai
'nazar' tu ho gaya hai bawla kya
Ghazal
Kya tumne bhi hai kal ratjaga kiya
Nazeer Nazar