اردو हिंदी
Kya tumko ilaj-e-dil-e-shaida nahin aata | Shaahi Shayari
kya tumko ilaj-e-dil-e-shaida nahin aata

Ghazal

Kya tumko ilaj-e-dil-e-shaida nahin aata

Hasrat Mohani

;

kya tum ko ilaj-e-dil-e-shaida nahin aata
aata hai par is tarah ki goya nahin aata

ho jati thi taskin so ab fart-e-alam se
is baat ko rote hain ki rona nahin aata

tum ho ki tumhein wada-wafai ki nahin KHu
main hun ki mujhe tum se taqaza nahin aata

hai pas ye kis ki nigah-e-mahw-e-haya ka
lab tak jo mere harf-e-tamanna nahin aata

un ki nigah-e-mast ke jalwe hain nazar mein
bhule se bhi zikr-e-mai-o-mina nahin aata

shoKHi se wo mana-e-sitam puchh rahe hain
ab lafz-e-jafa bhi unhen goya nahin aata

main dard ki lazzat se raza-mand hun 'hasrat'
mujh ko sitam-e-yar ka shikwa nahin aata