kya tujh par bhi bechaini si tari hai
mujh par to ye hijr bahut hi bhaari hai
bhago bhago duniya ke pichhe bhago
mujh ko mujh mein rahne ki bimari hai
be-adabi ki baat adab se karte hain
kam-zarfon mein kis had tak makkari hai
jis shohrat par tum itna itraate ho
main ne us ko har dam Thokar mari hai
tera gham hai jo likhwata rahta hai
warna mujh mein kab itni fankari hai

Ghazal
Kya tujh par bhi bechaini si tari hai
Poonam Yadav