kya tera kya mera KHwab
jis ki qismat is ka KHwab
baba aankhen neamat hain
mat dekha kar baba KHwab
sare saron par dastaren
KHwab aur diwane ka KHwab
main ne ujrat mangi thi
us ne hath pe rakkha KHwab
banT aate hain bachchon mein
roz ek jhuTa sachcha KHwab
shab bhar aankh mein bhiga tha
pure din mein sukha KHwab
ek saf mein mahmud aur main
ye auqat aur aisa KHwab
hum us shahr ke log jahan
taza hawa ka jhonka KHwab
aksar pakDe jate hain
pahla jurm aur pahla KHwab
Ghazal
Kya tera kya mera KHwab
Azhar Adeeb