اردو हिंदी
Kya tarz-e-kalam ho gai hai | Shaahi Shayari
kya tarz-e-kalam ho gai hai

Ghazal

Kya tarz-e-kalam ho gai hai

Dagh Dehlvi

;

kya tarz-e-kalam ho gai hai
har baat payam ho gai hai

kuchh zahr na thi sharab-e-angur
kya chiz haram ho gai hai

aage to nahin nahin suni thi
ab takiya-kalam ho gai hai

jate jate payam-bar ko
har subh se sham ho gai hai

ab dekhiye mashq-e-paemali
tarif-e-KHiram ho gai hai

pahunche hain jab us ki bazm mein hum
majlis hi tamam ho gai hai

aalam ko hai dawa-e-mohabbat
ye KHas bhi aam ho gai hai

us but ke hamin nahin hain bande
maKHluq ghulam ho gai hai

barbaad na hogi teri ulfat
tajwiz maqam ho gai hai

jagir junun ki qais ke baad
ab 'dagh' ke nam ho gai hai