اردو हिंदी
Kya tang hum sitam-zadagan ka jahan hai | Shaahi Shayari
kya tang hum sitam-zadagan ka jahan hai

Ghazal

Kya tang hum sitam-zadagan ka jahan hai

Mirza Ghalib

;

kya tang hum sitam-zadagan ka jahan hai
jis mein ki ek baiza-e-mor aasman hai

hai kaenat ko harakat tere zauq se
partaw se aaftab ke zarre mein jaan hai

haalanki hai ye sili-e-KHara se lala rang
ghafil ko mere shishe pe mai ka guman hai

ki us ne garm sina-e-ahl-e-hawas mein ja
aawe na kyun pasand ki ThanDa makan hai

kya KHub tum ne ghair ko bosa nahin diya
bas chup raho hamare bhi munh mein zaban hai

baiTha hai jo ki saya-e-diwar-e-yar mein
farman-rawa-e-kishwar-e-hindustan hai

hasti ka e'tibar bhi gham ne miTa diya
kis se kahun ki dagh jigar ka nishan hai

hai bare e'timad-e-wafa-dari is qadar
'ghaalib' hum is mein KHush hain ki na-mehrban hai

dehli ke rahne walo 'asad' ko satao mat
be-chaara chand roz ka yan mehman hai