اردو हिंदी
Kya tamasha dekhiye tahsil-e-la-hasil mein hai | Shaahi Shayari
kya tamasha dekhiye tahsil-e-la-hasil mein hai

Ghazal

Kya tamasha dekhiye tahsil-e-la-hasil mein hai

Sarwar Alam Raz

;

kya tamasha dekhiye tahsil-e-la-hasil mein hai
ek duniya ka maza duniya-e-ab-o-gil mein hai

dekh ye jazb-e-mohabbat ka karishma to nahin
kal jo tere dil mein tha wo aaj mere dil mein hai

main bhala kis se kahun kya kya kahun kaise kahun
maut se pahle hi mar jaane ki KHwahish dil mein hai

mauj o shorish inqalab o iztirab o rust-o-KHez
hai maza sahil mein kab jo duri-e-sahil mein hai

jhank kar dil mein zara ye to bata dije huzur
meri qismat ka sitara kaun si manzil mein hai

mujh ko bhata hi nahin ek aankh husn-e-kaenat
han magar wo jo tere ruKHsar ke ek til mein hai

kar diya begana-e-gham-ha-e-duniya ishq ne
mujh ko aasani yahi to apni is mushkil mein hai

tera mazi haal se dast-o-gareban gir raha
main batata hun jo 'sarwar' tere mustaqbil mein hai