kya sochte rahte ho taswir bana kar ke
kyun us se nahin kahte kuchh honT hila kar ke
ghar us ne banaya tha ek sabr o raza kar ke
miTTi mein mila Dala ehsan jata kar ke
jo jaan se pyare the nam un ne hi puchha hai
hairan hua main to is shahr mein aa kar ke
tahzib-e-musalla se waqif hi na tha kuchh bhi
aur baiTh gaya dekho sajjade pe aa kar ke
muddat se pata us ka malum nahin kuchh bhi
mashhur bahut tha jo aashufta-nawa kar ke
Ghazal
Kya sochte rahte ho taswir bana kar ke
Siraj Ajmali