kya sitam kar gai ai dost teri chashm-e-karam
jaise tere nahin duniya ke gunahgar hain hum
koi aalam ho bahar-haal guzar jata hai
hum na sargashta-e-rahat hain na aashufta-e-gham
teri zulfon ki ghani chhanw bahut dur sahi
jada-paima hain hawadis ki kaDi dhup mein hum
nikhat-e-gul se kuchh is tarah mulaqat hui
yaad aaya teri begana-washi ka aalam
hum hain tufan-e-malamat hai gali hai teri
husn-e-taqdir se hote hain ye haalat baham
le gaya ishq kisi shahid-e-nadida tak
muddaton zauq-e-parastish ne tarashe the sanam
hum ne har uqda-e-dushwar ka munh chum liya
kitne dilkash hain teri zulf-e-girah-gir ke KHam
ku-e-qatil hi sahi manzil-e-rahat na sahi
thak ke baiThe hain ki aate hain bahut dur se hum
ku-e-jaanan mein kahin aaj to hum bhi the 'rawish'
shukr hai hum ko na pahchan sake dair o haram
Ghazal
Kya sitam kar gai ai dost teri chashm-e-karam
Ravish Siddiqi

