kya se kya ho gai is daur mein haalat ghar ki
dasht pur-nur hue baDh gai zulmat ghar ki
sab ki dahlizon pe jalte hain tassub ke charagh
kya karega koi aise mein hifazat ghar ki
KHamushi farz-e-riwayat inayat isar
inhen buniyaadon pe mauquf hai azmat ghar ki
jin ke hisse mein koi saya-e-diwar nahin
wo bhi insan hain unhen bhi hai zarurat ghar ki
lakh qismat mein gharib-ul-watani ho 'rahbar'
khinch lati hai magar phir bhi mohabbat ghar ki

Ghazal
Kya se kya ho gai is daur mein haalat ghar ki
Rahber Jaunpuri