kya se kya ho gai is daur mein haalat ghar ki
dasht pur-nur hue baDh gai zulmat ghar ki
ab na darwaze ki raunaq na wo aangan ka hujum
kis qadar bar hai aankhon pe ziyarat ghar ki
sab ki dahliz pe jalte hain tassub ke charagh
kya karega koi aise mein hifazat ghar ki
KHamushi farzi riwayat inayat isar
inhen buniyaadon pe mauquf hai azmat ghar ki
jin ke hisse mein koi saya-e-diwar nahin
wo bhi insan hain unhen bhi hai zarurat ghar ki
lakh qismat mein gharib-ul-watani ho 'rahbar'
khinch lai hai magar phir bhi mohabbat ghar ki
Ghazal
Kya se kya ho gai is daur mein haalat ghar ki
Rahber Jaunpuri