kya sath tera dun ki main ek mauj-e-hawa hun
bas ek nafas arz-e-tamanna ko ruka hun
rahta hun bagulon ki tarah raqs mein be-tab
ai ham-nafaso main dil-e-sahra se uTha hun
qatra hun main dariya mein mujhe kuchh nahin malum
ham-rah mere kaun hai main kis se juda hun
ek lamha Thahar mujh ko bhi ham-rah liye chal
ai laila-e-hasti tera naqsh-e-kaf-e-pa hun
ai zabt-e-nazar de mere iman ki gawahi
tu hi to samajhta hai ki main kaun hun kya hun
chahe bhi to wo mujh se juda ho nahin sakta
wo hai meri zanjir to main us ki sada hun
main arsh-nashin bhi hun tere ghar ka makin bhi
main nikhat-e-iman hun main bu-e-wafa hun
Ghazal
Kya sath tera dun ki main ek mauj-e-hawa hun
Arsh Siddiqui