kya roz-e-hashr dun tujhe ai dad-gar jawab
aamal-name ka to hai peshani par jawab
ruk ruk ke hans ke yun hi to de fitna-gar jawab
deta hai aur lutf mujhe tera har jawab
kis se misal dun teri zulf-e-daraaz ko
umr-e-tawil-e-KHizr hai ek muKHtasar jawab
mushkil ke waqt dil hi se kuchh mashwara karen
kyun den kisi ko ghair se hum puchh kar jawab
karte hain sajda naqsh-e-qadam ko tamam log
hai KHana-e-KHuda ka teri rahguzar jawab
munkir-nakir puchhte hain DanT DanT kar
hon muntashir hawas to kya de bashar jawab
KHuld-o-saqar ke bich mein hai koi ishq-e-yar
hai pul-siraat ka ye meri rahguzar jawab
kyun sar jhuka raha hai zara aankh to mila
degi mere sawal ka teri nazar jawab
ghusse mein yun na aao ki ghussa haram hai
tum baat hi se baat ka do soch kar jawab
zarron ki tarah KHak mein hain aashiqon ke dil
gar tu kare sawal to de rahguzar jawab
main ne kiya salam to chilman mein chhup gae
dar-parda degi ab nigah-e-parda-dar jawab
hangama hashr ka sifat-e-gard rah gaya
tere KHiram ka na hua fitna-gar jawab
kya apne bhole-pan se kahen dam mein aae ho
har baat ka jo dete ho ab soch kar jawab
kya hoga KHak ho ke sar-e-charKH jaega
ye zer-e-pa sawal wo baala-e-sar jawab
likkha hai mujh ko ho gaya tera lahu safed
main bhi likhunga KHun se sar phoD kar jawab
behosh kar ke puchhte ho dil ka muddaa
deta bhi hai huzur kahin be-KHabar jawab
ghusse se kuchh kahun to wo kis tarah chup rahe
ek baat ka jo sham se de ta-sahar jawab
chitwan se taD jate hain 'mail' ka muddaa
dil mein idhar sawal hai lab par udhar jawab
Ghazal
Kya roz-e-hashr dun tujhe ai dad-gar jawab
Ahmad Husain Mail