اردو हिंदी
Kya ranj ki yusuf ka KHaridar nahin hai | Shaahi Shayari
kya ranj ki yusuf ka KHaridar nahin hai

Ghazal

Kya ranj ki yusuf ka KHaridar nahin hai

Qamar Siddiqi

;

kya ranj ki yusuf ka KHaridar nahin hai
ye shahr koi misr ka bazar nahin hai

kyun meri giraftari pe hangama hai har su
wo kaun hai jo tera giraftar nahin hai

kis kis pe inayat na hui teri nazar ki
bas ek meri samt guhar-bar nahin hai

kyun jurat-e-izhaar pe hairan ho meri
abru hain tumhaare koi talwar nahin hai

saya hai mere sar pe 'qamar' dhup shajar ka
baiTha hun jahan saya-e-diwar nahin hai