kya rafu karne laga hai ja bhi nadan yak taraf
phaT chali chhati koi dam mein gareban yak taraf
chandni mein kal nikal baiTha tha wo KHurshid-ru
dekhta tha main khaDa goshe mein pinhan yak taraf
turfa haalat thi kabhi hum ne na dekha tha 'huzur'
mah-e-taban yak taraf mehr-e-daraKHshan yak taraf
Ghazal
Kya rafu karne laga hai ja bhi nadan yak taraf
Gulam Yahya Huzur Azimabadi

