kya raat kaTi apni ulajhte hue jaan se
phir nind bhi aati hai kahan shor-e-sagan se
ai ishq girah khol to ab meri zaban ki
karni hai mujhe baat zara ham-nafasan se
chupke se mere dil ne kaha kan mein kal shab
yun hath uThata hai koi ishq-e-butan se
wo aabla-pai ko meri dekh ke bola
diwane zara phuT bhi kuchh apni zaban se
main tera paDosi hun miyan qais chalen sath
sahra tera kuchh dur nahin mere makan se
aabaad hai is dil ka jahan jis ke qadam se
wo mujh ko pukare hai kisi aur jahan se
phir lauT ke aaya na teri tarah mere pas
wo tir jo nikla tha kabhi meri kaman se
Ghazal
Kya raat kaTi apni ulajhte hue jaan se
Nazeer Azad