اردو हिंदी
Kya qayamat hai ki ek shaKHs ka ho bhi na sakun | Shaahi Shayari
kya qayamat hai ki ek shaKHs ka ho bhi na sakun

Ghazal

Kya qayamat hai ki ek shaKHs ka ho bhi na sakun

Shaz Tamkanat

;

kya qayamat hai ki ek shaKHs ka ho bhi na sakun
zindagi kaun si daulat hai ki kho bhi na sakun

ghar se niklun to bhare shahr ke hangame hain
main wo majbur teri yaad mein ro bhi na sakun

din ke pahlu se laga rahta hai andesha-e-sham
subh ke KHauf se nind aae to so bhi na sakun

KHatm hota hi nahin silsila-e-mauj-e-sarab
par utar bhi na sakun naw Dubo bhi na sakun

'shaz' malum hua ijz-bayani kya hai
dil mein wo aag hai lafzon mein samo bhi na sakun