kya puchhte ho shahr mein ghar aur hamara
rahne ka hai andaz idhar aur hamara
wo tegh na jaane kidhar uThti hai abhi to
jhagDa hai dil-e-sina-sipar aur hamara
jab hosh mein aae to use dekh bhi lenge
filhaal hai andaz-e-nazar aur hamara
ye mohr o nishan tabl-o-alam KHub hai lekin
baDh jaega kuchh bar-e-safar aur hamara
dil aisa makan chhoD ke ye haal hua hai
yani nigah-e-KHana-badar aur hamara
Ghazal
Kya puchhte ho shahr mein ghar aur hamara
Ahmad Javed