kya puchhte ho mujh ko mohabbat mein kya mila
donon-jahan ka dard ba-nam-e-KHuda mila
shayad yahi hai hasil-e-payan-e-arzu
apna pata nahin hai jo un ka pata mila
afsana-e-hayat ki takmil ho gai
jab un ke silsile se mera silsila mila
jab se nahin wo naghma-zan-e-saz-e-zindagi
ek ek tar dil ka mujhe be-sada mila
tum kya mile mizha ke ziya-bar ku-ba-ku
parde mein shab ke subh ka ru-e-safa mila
har aarzu ki ek wahi jaan-e-arzu
har muddaa ka ek wahi muddaa mila
wajh-e-dawam fitrat-e-gham hi nahin faqat
dil bhi azal-taraaz abad-ashna mila
kaisi bahaar mauja-e-kaif-o-nishat kya
pahlu-e-gul na daman-e-baad-e-saba mila
jannat chamak chamak uThi rang-o-jamal ki
kis gul ki aarzu ka sharaf ai 'raza' mila

Ghazal
Kya puchhte ho mujhko mohabbat mein kya mila
Raza Jaunpuri