kya phir zamin dil ki namnak ho rahi hai
ek bel aarzu ki pechaak ho rahi hai
yalghaar kar raha hai ek raushni ka lashkar
tarikiyon ki chadar phir chaak ho rahi hai
us ko sikha raha hai ayyariyan zamana
duniya bhi rafta rafta chaalak ho rahi hai
us ne bana diya hai matam-kada jahan ko
KHilqat fasurdagi ki KHurak ho rahi hai
us ke sabab se jina dushwar ho gaya hai
is baat ki mazammat kya KHak ho rahi hai
Ghazal
Kya phir zamin dil ki namnak ho rahi hai
Obaid Siddiqi