kya pata kya tha udhar aur kya na tha
qad mera diwar se uncha na tha
zehn murda jism be-his be-libas
main ne wo dekha hai jo dekha na tha
bhagta phirta hun apne-ap se
aisa bhi hoga kabhi socha na tha
malgaje bigDe se chehre har taraf
zindagi pahle tujhe dekha na tha
masale kuchh likh gaya diwar par
ek diwana jo diwana na tha
us ki lakhon mein yahi pahchan thi
qabr par us ki koi katba na tha
jis ne jo manga use wo de diya
ai KHuda kya main tera banda na tha

Ghazal
Kya pata kya tha udhar aur kya na tha
Sabir Adeeb