kya nazar ki hushyari KHud-asir-e-masti hai
jo nigah uThti hai mahw-e-KHud-parasti hai
baadalon ko takta hun jaane kitni muddat se
ek bund pani ko ye zaban tarasti hai
ek janam ke pyase bhi sair hon to hum jaanen
yun to rahmat-e-yazdan chaar-su barasti hai
raat gham ki aai hai hoshiyar dil walo
dekhna hai ye nagin aaj kis ko Dasti hai
shayad aaj aaina dil ka TuT hi jae
phir nazar ki virani zindagi pe hansti hai
main ne apni palkon par gham-kade sajae hain
aarzu ke matam mein sogwar hasti hai
ab ba-tabish-e-aKHtar tirgi hai afzun-tar
raushni bhi bik jae ye kamal-e-pasti hai
Ghazal
Kya nazar ki hushyari KHud-asir-e-masti hai
Hanif Fauq