kya nazara tha meri aankhon mein 
jab wo sara tha meri aankhon mein 
ek tufan tha kahin barpa 
aur dhaara tha meri aankhon mein 
haal kaisa ye tu ne kar Dala 
kitna pyara tha meri aankhon mein 
kuchh bhi dekha nahin tha main ne jab 
har nazara tha meri aankhon mein 
chand jab tak nazar na aaya tha 
tara tara tha meri aankhon mein 
jab kiya ishq ka safar aaghaz 
kab kinara tha meri aankhon mein 
kitni aankhon se 'shaz' bachte hue 
koi haara tha meri aankhon mein
        Ghazal
Kya nazara tha meri aankhon mein
Zakariya Shaz

