kya miTa doge nam phulon ka
na karo qatl-e-am phulon ka
rang-o-bu ne bhi sath chhoD diya
rafta rafta tamam phulon ka
gulistan ko farogh hoga magar
shart hai ehtiram phulon ka
ek na ek din hisab lena hai
baghban se tamam phulon ka
mausam-e-gul hai ye KHizan to nahin
kyun hai barham nizam phulon ka
ek do ka moamla to nahin
masala hai tamam phulon ka
bijliyan le rahi hain gin gin kar
ghaaliban intiqam phulon ka
KHun-e-nahaq hai ye are tauba
subh ghunchon ka sham phulon ka
yun jo murjha gae baghair khile
gham hai aise tamam phulon ka
hai sabhi ki nigah mein 'rumi'
aaj karb tamam phulon ka
Ghazal
Kya miTa doge nam phulon ka
Rumana Rumi