kya mila hum ko teri yari mein
rahe ab tak umid-wari mein
hath gahra laga ku-e-qatil
zor-e-lazzat hai zaKHm-e-kari mein
dil jo be-KHud hua saba lai
kis ki bu nighat-e-bahaari mein
Tuk udhar dekh tu bhala ai chashm
faeda aisi ashk-bari mein
chaT laga dete hain mere aansu
silk-e-gauhar ke aab-dari mein
ruTh kar us se main jo kal bhaga
na-gahan dil ki be-qarari mein
aa liya us ne dauD kar mujh ko
tak ke ochhal ek kyari mein
yun laga kahne bas diwana na ban
paon rakh apna hoshiyari mein
kab talak main bhala rahun shab-o-roz
teri aisi mazaj-dari mein
hai samaya hua jo laDka-pan
aap ki waza pyari pyari mein
apni bakri ka munh chiDate waqt
kya KHush aati hai ye tumhaari men
banda-e-bu-turab hai 'insha'
shak nahin us ki KHaksari mein
Ghazal
Kya mila hum ko teri yari mein
Insha Allah Khan u0027Inshau0027