kya mila ai zindagi qanun-e-fitrat se mujhe
kuchh mila haq bhi to baatil ki wisatat se mujhe
mere malik main takabbur se nahin hun sar-buland
sar jhuka itna hui nafrat itaat se mujhe
main wo aashiq hun ki KHud hi chumta hun apne hath
kab bhala fursat mili apni raqabat se mujhe
main wo TuTa aaina hun aap apne samne
jis mein haul aata hai KHud apni hi surat se mujhe
main wo patthar hun ki jis mein dudh ki nahren bhi hain
tesha-e-farhad mat Thukra hiqarat se mujhe
main wo aalam hun ki har aalam hai mujh mein ham-kanar
tu zara pahchan KHud apni shabahat se mujhe
KHar-zar-e-dasht main hun aur tu sarw-e-chaman
tu bhala kyun napta hai apne qamat se mujhe
haif kis ke aage lafzon ke diye raushan kiye
kitni ummiden hain andhon ki basarat se mujhe
main kahan baiThun ki sae bhi gurezan mujh se hain
ab to diwaren bhi takti hain hiqarat se mujhe
main gareban-chaak tariki mein kab tak munh chhupaun
ab to sharm aane lagi apni nadamat se mujhe
aati hain wahshat-sara-e-dil se aawazen ajab
dekhte hain ab to virane bhi hairat se mujhe
ab agar kuchh bhi nahin hota to shor-e-hashr ho
kam nahin hai itna sannaTa qayamat se mujhe
kaun nasir mera 'baqar' kis ko mera intizar
ku-e-gum-nami mein hun kya kaam shohrat se mujhe

Ghazal
Kya mila ai zindagi qanun-e-fitrat se mujhe
Sajjad Baqar Rizvi