kya maza ho jo kisi se tujhe ulfat ho jae
ji kuDhe fikr rahe meri si haalat ho jae
tera bimar dam-e-naza ye mange tha dua
dekh lun phir use gar thoDi si mohlat ho jae
jaiyo mat tu saba bagh se zindan ki taraf
mujh ko Dar hai na asiron pe qayamat ho jae
ai dil ek din tu guzar kar taraf-e-ahl-e-qubur
ta-ki dekhe se unhon ke tujhe ibrat ho jae
dekh taswir ko majnun ki 'hawas' rashk na kar
chahiye ishq mein teri bhi ye surat ho jae
Ghazal
Kya maza ho jo kisi se tujhe ulfat ho jae
Mirza Mohammad Taqi Hawas