kya main jata hun sanam chhuT tere dar aur kahin
le qasam mujh se jo mera ho guzar aur kahin
raftagi ka hai ye aalam ki tere waqt-e-KHiram
panw jate hain kahin aur kamar aur kahin
subh par wasl ki Thahri hai shab-e-hijr tere
jawen jaldi se guzar chaar pahar aur kahin
wadi-e-qais mein jo le gai mujh ko wahshat
dil ke bahlane ki ja thi na magar aur kahin
us ke kuche ko tu ai aah ghanimat hi samajh
sach to ye hai nahin itna bhi asar aur kahin
hum hain aur KHosha-e-parwin ka tamasha hama-shab
ja ke jhamkaiye ye aqd-e-guhar aur kahin
la-ubaali meri dekhe hai tu aaina kahan
dil tera aur kahin hai to nazar aur kahin
wada-e-wasl diya id ki shab hum ko sanam
aur tum ja ke hue shir-o-shakar aur kahin
samne us ke lagun rone to jhunjhla ke kahe
yan se le jaiye ye dida-e-tar aur kahin
chaman-e-lala-satan mein mujhe jaane de saba
change honge na mere dagh-e-jigar aur kahin
tafraqa baad-e-KHizan ne ye chaman mein Dala
gul kahin aur paDa hai to samar aur kahin
barg-o-bar ye tere kuche mein to lata hi nahin
ja ke biThlaweng KHwahish ka shajar aur kahin
aise ghabrae ki haalat na rahi kuchh baqi
dekh aae jo use shams o qamar aur kahin
gar main bad-nam hua us ki gali mein to hua
yaro ab yan se na jawe ye KHabar aur kahin
'mushafi' main hun wo sar-gashta ki KHurshid ki tarah
sham gar aur kahin ki to sahar aur kahin
Ghazal
Kya main jata hun sanam chhuT tere dar aur kahin
Mushafi Ghulam Hamdani