kya main bhi pareshani-e-KHatir se qarin tha
aankhen to kahin thin dil-e-gham-dida kahin tha
kis raat nazar ki hai su-e-chashmak-e-anjum
aankhon ke tale apne to wo mah-jabin tha
aaya to sahi wo koi dam ke liye lekin
honThon pe mere jab nafas-e-baz-pasin tha
ab koft se hijran ki jahan tan pe rakha hath
jo dard o alam tha so kahe tu ki wahin tha
jaana nahin kuchh juz ghazal aa kar ke jahan mein
kal mere tasarruf mein yahi qita zamin tha
nam aaj koi yan nahin leta hai unhon ka
jin logon ke kal mulk ye sab zer-e-nagin tha
masjid mein imam aaj hua aa ke wahan se
kal tak to yahi 'mir' KHarabaat-nashin tha
Ghazal
Kya main bhi pareshani-e-KHatir se qarin tha
Mir Taqi Mir