kya lutf hawaon ke safar mein nahin rakkha
ya jazba-e-parwaz hi par mein nahin rakkha
nanha sa diya bhi shab-e-tira mein bahut hai
sauda kisi KHurshid ka sar mein nahin rakkha
bujh jaenge KHwabon ke charagh aab-e-rawan se
is Dar se unhen dida-e-tar mein nahin rakkha
shayad dar-o-diwar bhi pahchan na paen
barson se qadam apne hi ghar mein nahin rakkha
har roz koi taKHta magar TuT raha hai
har-chand ki kashti ko bhanwar mein nahin rakkha
suraj to paraya tha paraya hi raha wo
kyun tum ne shajar rah-e-guzar mein nahin rakkha
takmil ke paikar mein jise DhunDh rahe hain
KHaka bhi 'salim' is ka nazar mein nahin rakkha

Ghazal
Kya lutf hawaon ke safar mein nahin rakkha
Saleem Faraz