اردو हिंदी
Kya kya nawah-e-chashm ki ranaiyan gain | Shaahi Shayari
kya kya nawah-e-chashm ki ranaiyan gain

Ghazal

Kya kya nawah-e-chashm ki ranaiyan gain

Azhar Inayati

;

kya kya nawah-e-chashm ki ranaiyan gain
mausam gaya gulab gae titliyan gain

jhuTi siyahiyon se hain shajre likhe hue
ab ke hasab-nasab ki bhi sachchaiyan gain

kis zehn se ye sare mahazon pe jang thi
kya fath ho gaya ki saf-araiyan gain

karne ko raushni ke taaqub ka tajraba
kuchh dur mere sath bhi parchhaiyan gain

aage to be-charagh gharon ka hai silsila
mere yahan se jaane kahan aandhiyan gain

'azhar' meri ghazal ke sabab ab ke shahr mein
kitni nai purani shanasaiyan gain