kya kya na rang tere talabgar la chuke
maston ko josh sufiyon ko haal aa chuke
hasti ko misl-e-naqsh-e-kaf-e-pa miTa chuke
aashiq naqab-e-shahid-e-maqsud uTha chuke
kabe se dair dair se kabe ko ja chuke
kya kya na is do-rahe mein hum pher kha chuke
gustaKH hath tauq-e-kamar yar ke hue
hadd-e-adab se panw ko aage baDha chuke
kanan se shahr-e-misr mein yusuf ko le gae
bazar mein bhi husn ko aaKHir dikha chuke
pahunche taDap taDap ke bhi jallad tak na hum
taqat se hath panw ziyaada hila chuke
hoti hai tan mein ruh payam-e-ajal se shad
din wada-e-visal ke nazdik aa chuke
paimana meri umr ka labrez ho kahin
saqi mujhe bhi ab to pyala pila chuke
diwana jaante hain tera hoshyar unhen
jame ko jism ke bhi jo purze uDa chuke
be-wajh har dam aaina pesh-e-nazar nahin
samjhe hum aap aankhon mein apni sama chuke
us dilruba se wasl hua de ke jaan ko
yusuf ko mol le chuke qimat chuka chuke
uTTha naqab chehra-e-zeba-e-yar se
diwar darmiyan jo thi hum us ko Dha chuke
zer-e-zamin bhi taDpenge ai aasman-e-husn
betab tere gor mein bhi chain pa chuke
aaraish-e-jamal bala ka nuzul hai
andher kar diya jo wo missi laga chuke
do abru aur do lab-e-jaan-baKHsh yar ke
zindon ko qatl kar chuke murde jila chuke
majbur kar diya hai mohabbat ne yar ki
bahar hum iKHtiyar se hain apne ja chuke
sadmon ne ishq-e-husn ke dam kar diya fana
'atish' saza gunah-e-mohabbat ki pa chuke
Ghazal
Kya kya na rang tere talabgar la chuke
Haidar Ali Aatish