kya kya maze se raat ki ahd-e-shabab mein 
chhoDun na umr-e-rafta gar aa jae KHwab mein 
ek dil ke waste ye phanse wo azab mein 
rahte hain apni zulf hi ke pech-o-tab mein 
hai shauq-e-wasl tujh se lipaTta hun bar bar 
warna ye mastiyan to nahin thin sharab mein 
itni na kije jaane ki jaldi shab-e-visal 
dekhe hain main ne kaam bigaDte shitab mein 
ho jae chaak sina ki dil ghuT ke mar chala 
ai chaara-ju kisi ko phansa mat azab mein 
kar bahr o bar ki hasti-e-mauhum par nazar 
thoDi si KHak Dal di chashm-e-pur-ab mein 
tab qatl-gah mein qatl-e-udu ko chale hain wo 
mera lahu mila ke piya jab sharab mein 
kin mehnaton se wasl pe raazi hue hain wo 
sau nama-bar hue jo sawal o jawab mein 
aKHtar-shumariyon mein nikalta hai dam kahin 
'taskin' tumhin ko daKHl nahin hai hisab mein
        Ghazal
Kya kya maze se raat ki ahd-e-shabab mein
Taskeen Dehlavi

