kya kya log guzar jate hain rang-birangi caron mein
dil ko tham ke rah jate hain dil wale bazaron mein
ye be-dard zamana hum se tera dard na chhin saka
hum ne dil ki baat kahi hai tiron mein talwaron mein
honTon par aahen kyun hotin aankhen nis-din kyun rotin
koi agar apna bhi hota unche ohde-daron mein
sadr-e-mahfil dad jise de dad usi ko milti hai
hae kahan hum aan phanse hain zalim duniya-daron mein
rahne ko ghar bhi mil jata chaak-e-jigar bhi sil jata
'jalib' tum bhi sher sunate ja ke agar darbaron mein

Ghazal
Kya kya log guzar jate hain rang-birangi caron mein
Habib Jalib