kya kya hain gile us ko bata kyun nahin deta
tazir-e-KHata mujh ko suna kyun nahin deta
hain nawak-e-dil-doz mere yar ke tewar
ek bar wo sab tir chala kyun nahin deta
yak-tarfa mohabbat ke tazabzub se to niklun
is raaz se parda wo haTa kyun nahin deta
likhta bhi hai mujh ko sar-e-qirtas-e-mohabbat
mazmum jo lagta hun miTa kyun nahin deta
itna hi fasurda hai agar haal pe mere
jalwa kabhi apna wo dikha kyun nahin deta
sar-garm-e-safar hun main tere dasht mein kab se
mujh ko meri manzil ka pata kyun nahin deta
KHwabida-nasibi bhi to teri hi ata hai
soi meri taqdir jaga kyun nahin deta
jo tab-e-tamasha hi nahin us mein 'raza' tu
wo aatish-e-furqat ko bujha kyun nahin deta
Ghazal
Kya kya hain gile usko bata kyun nahin deta
Ibn-e-Raza