kya kya guman na the mujhe apni uDan par
bazu jo shal hue to gira hun chaTan par
KHuddariyon se kaun ye puchhe ki aaj tak
kitne azab hum ne liye apni jaan par
ab ke na jaane rut ko nazar kis ki kha gai
ek bar bhi paDi na dhanak aasman par
kashti mein so gae jo unhen ye KHabar kahan
kitna hai aaj zor-e-hawa baadban par
KHush-fahmiyon ke daur se pahle jo thi kabhi
wo bartari kahan hai yaqin ko guman par
ek be-karan KHala hai nigahon mein har taraf
yani zamin par hain na hum aasman par
'KHawar' bhi zindagi se nabard-azma hua
kya shaKHs tha jo khel gaya apni jaan par

Ghazal
Kya kya guman na the mujhe apni uDan par
Rahman Khawar