اردو हिंदी
Kya kya dhare ajube hain shahr-e-KHayal mein | Shaahi Shayari
kya kya dhare ajube hain shahr-e-KHayal mein

Ghazal

Kya kya dhare ajube hain shahr-e-KHayal mein

Abrar Hamid

;

kya kya dhare ajube hain shahr-e-KHayal mein
bite KHushi se din to kaTe shab malal mein

shayad ki shab ki tah mein hai suraj chhupa hua
shab lag rahi hai khoi si din ke jamal mein

koi kare na ghaur to us ka qusur hai
ek ek jawab warna hai ek ek sawal mein

kuchh milta-julta aks bujhati to hai magar
kab hu-ba-hu samaya hai koi misal mein