اردو हिंदी
Kya kya ajal ne jaan churai tamam shab | Shaahi Shayari
kya kya ajal ne jaan churai tamam shab

Ghazal

Kya kya ajal ne jaan churai tamam shab

Ismail Merathi

;

kya kya ajal ne jaan churai tamam shab
koi bhi aarzu na bar aai tamam shab

dil-soz kab hue hain ki jab KHak ho gaya
turbat pe meri shama jalai tamam shab

ai wa-e-talKH-kaami-e-roz-e-bad-firaq
naseh ne jaan-e-gham-zada khai tamam shab

az-bas yaqin-e-wada-e-didar-e-KHwab tha
kya KHush hue ki nind na aai tamam shab

ek aah-e-dil-nashin se wo but munfail hua
wallah kya nadamat uThai tamam shab

lagte hi aankh dekh liya jalwa-e-nihan
pesh-e-nazar thi shan-e-KHudai tamam shab