kya kuchh na kiya aur hain kya kuchh nahin karte
kuchh karte hain aisa ba-KHuda kuchh nahin karte
apne maraz-e-gham ka hakim aur koi hai
hum aur tabibon ki dawa kuchh nahin karte
malum nahin hum se hijab un ko hai kaisa
auron se to wo sharm o haya kuchh nahin karte
go karte hain zahir ko safa ahl-e-kudurat
par dil ko nahin karte safa kuchh nahin karte
wo dilbari ab tak meri kuchh karte hain lekin
tasir tere nale dila kuchh nahin karte
dil hum ne diya tha tujhe ummid-e-wafa par
tum hum se nahin karte wafa kuchh nahin karte
karte hain wo is tarah 'zafar' dil pe jafaen
zahir mein ye jaano ki jafa kuchh nahin karte
Ghazal
Kya kuchh na kiya aur hain kya kuchh nahin karte
Bahadur Shah Zafar