kya koi yaad tere dil ko dukhati hai hawa
sard sannaTe mein kyun shor machati hai hawa
ye KHabar di hai parindon ne chalo sunte hain
jhil ke pas koi git sunati hai hawa
bagh murjhae chaman roya hue dasht udas
sab ko mayus kahan chhoD ke jati hai hawa
KHushbuon aao Thahar jao hamare aangan
phir ishaaron mein bahaaron ko bulati hai hawa
jo gaya lauT ke aaya hi nahin sarhad se
ab kise dasht mein aawaz lagati hai hawa
jhunD mein lauTne lagte hain sunahre panchhi
sukhti shaKHon pe jab phul khilati hai hawa
KHair-maqdam ke liye band dariche kholo
naz-o-andaz se kis shan se aati hai hawa
Ghazal
Kya koi yaad tere dil ko dukhati hai hawa
Rashid Anwar Rashid